Jagjit - Ghalib
Jagjit Singh has sung beautifully to give a completely new bout of life to Mirza Ghalib's ghazals.
One couplet I particularly enjoy:
"Taa phir na intezaar mein neend aaye umr bhar
Aane ka ahad kar gaye aaye jo khaab mein."
I realise, one cannot really appreciate the line unless stated in the context of the whole ghazal.
And I have also written down meanings of the less commonly used Urdu words.
So here it is for the interested:
Qaasid ke aate aate khat ik aur likh rakhun,
Main jaanta hun jo woh likhenge jawaab mein.
Kabse hun kya bataaun jahaan-e-kharaab mein,
Shab haaye hijr ko bhi rakhun gar hisaab mein.
Mujh tak na unki bazm mein aata tha daur-e-jaam,
Saaqi ne kuchh mila na diya ho sharaab mein.
Taa phir na intezaar mein neend aaye umr bhar,
Aane ka ahad kar gaye aaye jo khaab mein.
Ghalib chhuti sharaab par ab bhi kabhi kabhi,
Peeta hun roz-e-abr-o-shab-e-mahtaab mein.
Kabse hun kya bataaun jahaan-e-kharaab mein,
Shab haaye hijr ko bhi rakhun gar hisaab mein.
Meanings:
Qaasid - Messenger (Postman), daakiya.
Shab - Evening, shaam/raat.
Hijr - Separation, judaai.
Bazm - Meeting, mehfil.
Daur-e-jaam - Round of drinks.
Saaqi - Bartender.
Roz-e-abr - Cloudy day
Mahtaab - moon, chaand.
2 Comments:
macha.....blog karna band kyon kardiya???
Nice blog man... do post more often, though :)
Happy Blogging,
am
Post a Comment
<< Home